sahrā sahrā baat chalī hai nagrī nagrī charchā hai
raat ke ġham meñ sūraj sā.īñ bādal oḌhe phirtā hai
jhoñkā jhoñkā terī ḳhushbū mujh se lipaT kar guzrī hai
reza reza terī ḳhātir maiñ ne jism gañvāyā hai
din-bhar bādal chham-chham barsā shaam ko matl.a saaf huā
tab jā kar ik qaus-e-quzah par terā paikar ubhrā hai
tū ne jis kī jholī meñ do phuul bhī hans kar Daal diye
saarī umr vo kāġhaz par ḳhushbū kī lakīreñ khīñchtā hai
tum kyuuñ tez nokīle neze taan ke mujh par jhapTe ho
merā muqaddar tund bagūlo yuuñ bhī to bujh jaanā hai
maiñ ne apne gird banā lī zaḳhmoñ kī dīvār na.ī
ek purānā ġham lekin rah rah kar mujh par hañstā hai
jalte jalte maiñ bujh jā.ūñ yā tū agnī-rūp meñ aa
terā merā mel ho kaise maiñ sūraj tū saaya hai
sab kohsār samundar sahrā ghūmeñ us ke gird 'rashīd'
vo ik shaḳhs jo duniyā-bhar meñ tanhā tanhā rahtā hai