chāhat kā sansār hai jhūTā pyaar ke sāt-samundar jhuuT
saarī duniyā bol rahī hai kitne sundar sundar jhuuT
ashkoñ ko motī kahtā huuñ ruḳhsāroñ ko phuul
maiñ lafzoñ kā saudāgar huuñ mere bāhar andar jhuuT
khoTe sikke le kar ghūmeñ ham donoñ bāzāroñ meñ
terī aañkh ke motī jhūTe mere man kā mandir jhuuT
maiñ ne kahā jalvoñ kā maskan ujle chehre ūñchī zaat
sab ne kahā tum sach kahte ho bolā ek qalandar jhuuT
duniyā bhar meñ ek haqīqat sachchā ek vajūd 'rashīd'
varna saare jañgal parbat sahrā aur samundar jhuuT