Rasheed Qaisrani

hai shauq to be-saKHta aankhon mein samo lo

Rasheed Qaisrani

1930-2010
hai shauq to be-sāḳhta āñkhoñ meñ samo lo
yuuñ mujh ko nigāhoñ ke tarāzū meñ na tolo
maiñ bhī huuñ kisī aañkh se Tapkā huā motī
mujh ko bhī kisī reshmī Dorī meñ piro lo
laayā huuñ maiñ ḳhud dil ko hathelī pe sajā kar
is jins ke bāzār meñ kyā daam haiñ bolo
maiñ kāñch ke TukḌoñ kī tarah bikhrā paḌā huuñ
bhūle se kabhī mujh ko bhī paañv meñ chubho lo
phir jāniye kab vaqt kī raftār thamegī
Thahre hue lamhe ko nigāhoñ meñ piro lo
ab koī bikheregā kaḌī dhuup meñ gesū
ḳhud apne hī dil ke kisī tah-ḳhāne meñ so lo
din bhar to 'rashīd' aap ko hañsnā hī paḌegā
ronā hai to ab raat kī tanhā.ī meñ ro lo
Top Urdushayar.com