sadiyoñ se maiñ is aañkh kī putlī meñ chhupā thā
palkoñ pe agar mujh ko sajā lete to kyā thā
tū phail gayā tā-ba-ufuq mujh se bichhaḌ kar
maiñ jism ke zindāñ meñ tujhe DhūñDh rahā thā
haañ mujh ko tire surḳh kajāve kī qasam hai
is raah meñ pahle koī ghuñghrū na bajā thā
guzre the mire sāmne tum dosh-e-havā par
maiñ duur kahīñ ret ke Tiile pe khaḌā thā
siine meñ ubharte hue sūraj kā talātum
āñkhoñ meñ tirī Dūbtī rātoñ kā nasha thā
guzrā na idhar se koī patthar kā pujārī
muddat se maiñ is raah ke māthe pe sajā thā
jab vaqt kī dahlīz pe shab kaañp rahī thī
sho.ala sā mire jism ke āñgan se uThā thā
ab jāniye kyā naqsh havāoñ ne banā.e
us ret pe maiñ ne to tirā naam likhā thā
ai dīda-e-hairāñ to zarā aur qarīb aa
ai DhūñDne vaale maiñ tujhe DhūñDh rahā thā