Rasheed Qaisrani

ye kaun sa suraj mere pahlu mein khaDa hai

Rasheed Qaisrani

1930-2010
ye kaun sā sūraj mire pahlū meñ khaḌā hai
mujh se to 'rashīd' ab mirā saaya bhī baḌā hai
tū jis pe ḳhafā hai mire andar kā ye insān
us baat pe mujh se bhī ka.ī baar laḌā hai
dekhā jo palaT kar to mire saa.e meñ gum thā
vo shaḳhs jo mujh se qad-o-qāmat meñ baḌā hai
sadiyoñ use paalā hai samundar ne sadaf meñ
pal-bhar ke liye jo mirī palkoñ meñ jaḌā hai
ḳhurshīd ke chehre pe lakīreñ haiñ lahū kī
ḳhanjar sā koī raat ke siine meñ gaḌā hai
ik lafz jo niklā thā safeñ dil kī ulaT kar
muddat se mire lab pe vo be-jān paḌā hai
Takrā ke palaTtā huuñ lagātār udhar se
ye sañg-sifat kaun sar-e-rāh khaḌā hai
Top Urdushayar.com