Rasheed Qaisrani

mere liye to harf-e-dua ho gaya wo shaKHs

Rasheed Qaisrani

1930-2010
mere liye to harf-e-duā ho gayā vo shaḳhs
saare dukhoñ kī jaise davā ho gayā vo shaḳhs
maiñ āsmāñ pe thā to zamīñ kī kashish thā vo
utrā zamīn par to havā ho gayā vo shaḳhs
sochūñ bhī ab use to taḳhayyul ke par jaleñ
mujh se judā huā to ḳhudā ho gayā vo shaḳhs
sab ashk pī gayā mire andar kā aadmī
maiñ ḳhushk ho gayā huuñ harā ho gayā vo shaḳhs
maiñ us kā haath dekh rahā thā ki daf.atan
simTā simaT ke rañg-e-hinā ho gayā vo shaḳhs
yuuñ bhī nahīñ ki paas hai mere vo ham-nafas
ye bhī ġhalat ki mujh se judā ho gayā vo shaḳhs
paḌhtā thā maiñ namāz samajh kar use 'rashīd'
phir yuuñ huā ki mujh se qazā ho gayā vo shaḳhs
Top Urdushayar.com