baat sūraj kī koī aaj banī hai ki nahīñ
vo jo ik raat musalsal thī kaTī hai ki nahīñ
tere hāthoñ meñ to ā.īna vahī hai ki jo thā
sochtā huuñ mirā chehra bhī vahī hai ki nahīñ
mujh ko Takrā ke ba-har-hāl bikharnā thā magar
vo jo dīvār sī haa.il thī girī hai ki nahīñ
us kā chehra hai ki mahtāb vo āñkheñ haiñ ki jhiil
baat us baat se aage bhī chalī hai ki nahīñ
apne pahlū meñ humakte hue saa.e na sajā
kyā ḳhabar un se ye milne kī ghaḌī hai ki nahīñ
habs chehroñ pe to sadiyoñ se musallat hai magar
koī āñdhī bhī kisī dil meñ uThī hai ki nahīñ
pūchhtā phirtā huuñ maiñ bhāgtī kirnoñ se 'rashīd'
us bhare shahr meñ apnā bhī koī hai ki nahīñ