Rasheed Qaisrani

gum-gashta manzilon ka mujhe phir nishan de

Rasheed Qaisrani

1930-2010
gum-gashta manziloñ kā mujhe phir nishān de
merī zamīn mujh ko mirā āsmān de
zaḳhmoñ kī aabrū ko na yuuñ ḳhaak meñ milā
chādar mire lahū kī mire sar pe taan de
ye dhaḌkanoñ kā shor qayāmat se kam nahīñ
ai rabb-e-saut mujh ko dil-e-be-zabān de
yā mujh se chhīn le ye mazāq-e-buland-o-past
yā mere bāl-o-par ko khulā āsmān de
māñgā thā maiñ ne kab ye jhukī gardanoñ kā ġham
razzāq-e-ġham mujhe ġham-e-gardūñ-nishān de
sail-e-sukūt ab to rag-e-jāñ tak aa gayā
izn-e-bayān de mujhe izn-e-bayān de
dāman kushāda phir se hai ḳhātūn-e-ġham 'rashīd'
taaza lahū se likh ke na.ī dāstān de
Top Urdushayar.com