Afroz Talib

tishnagi baqi rahe diwangi baqi rahe

Afroz Talib

tishnagī baaqī rahe dīvāngī baaqī rahe
ranj-o-ġham hai is liye tā-ki ḳhushī baaqī rahe
zaḳhm agar bhar jā.egā to bhuul jā.ūñgā use
ye duā do zaḳhm-e-dil kī tāzgī baaqī rahe
qurbateñ bhī dūriyoñ kā ban ga.iiñ aksar sabab
is liye behtar hai un kī be-ruḳhī baaqī rahe
Thahr jaanā maut hai aur chalte rahnā zindagī
zindagī baaqī rahe āvārgī baaqī rahe
raushnī hogī to kitne chehre hoñge be-naqāb
kah do ye 'afroz' se ki tīrgī baaqī rahe
Top Urdushayar.com