diip se diip jalāo to koī baat bane
giit par giit sunāo to koī baat bane
qatra qatra na pukāro mujhe bahtī nadiyoñ
mauj-dar-mauj bulāo to koī baat bane
raat andhī hai guzar jā.egī chupke chupke
jaal kirnoñ kā bichhāo to koī baat bane
sāmne apne hī ḳhāmosh khaḌā huuñ kab se
darmiyāñ tum bhī jo aao to koī baat bane
dāstāñ chāñd sitāroñ kī sunāne vaalo
tum mirā khoj lagāo to koī baat bane
muntazir maiñ to ba-har-gām huuñ sāhil kī tarah
sūrat-e-mauj tum aao to koī baat bane
jhāñktā kaun hai ab dil ke shagāfoñ meñ 'rashīd'
zaḳhm chehre pe sajāo to koī baat bane