Rasheed Qaisrani

ye zawiya suraj ka badal jaega sain

Rasheed Qaisrani

1930-2010
ye zāviya sūraj kā badal jā.egā sā.īñ
saaya hai magar saaya to Dhal jā.egā sā.īñ
ḳhud aap ke hāthoñ kā tarāshā huā lamha
ḳhud aap ke hāthoñ se phisal jā.egā sā.īñ
ye barf-badan aap kā aur mom kā maskan
is dhuup nagar meñ to pighal jā.egā sā.īñ
sāhil na rahegā tahī-dāmāñ ki samundar
ik din koī motī bhī ugal jā.egā sā.īñ
jo raakh huā jism vo lau dene lagegā
jo diip bujhāyā hai vo jal jā.egā sā.īñ
is shahr-e-dil-āvez meñ dil vāloñ kā sikka
pahle bhī chalā aaj bhī chal jā.egā sā.īñ
manzil hī tirī yaar 'rashīd' aur nahīñ hai
tū jab bhī gayā chāñd mahal jā.egā sā.īñ
Top Urdushayar.com