Rasheed Qaisrani

ghumbad-e-zat mein ab koi sada dun to chalun

Rasheed Qaisrani

1930-2010
ġhumbad-e-zāt meñ ab koī sadā duuñ to chalūñ
apne so.e hue sāthī ko jagā luuñ to chalūñ
phir bikhar jā.ūñgā maiñ raah meñ zarroñ kī tarah
koī paimān-e-vafā ḳhud se maiñ bāñdhūñ to chalūñ
jaane tū kaun hai kis samt bulātā hai mujhe
terī āvāz kī parchhā.īñ ko chhū luuñ to chalūñ
bujh na jaa.eñ tire jalvoñ ke muqaddas fānūs
apne bhīge hue dāman ko nichoḌūñ to chalūñ
kitnā gambhīr hai kohrām sukūt-e-shab kā
koī āvāz kā paikar kahīñ dekhūñ to chalūñ
dosh-e-tūfāñ se koī mauj bulātī hai mujhe
reza reza hai badan ab use chun luuñ to chalūñ
kitnī sadiyoñ kī masāfat abhī baaqī hai 'rashīd'
hāñpte jism kā ye ḳhol utārūñ to chalūñ
Top Urdushayar.com