yuuñ bhī ik bazm-e-sadā ham ne sajā.ī pahroñ
kaan bajte rahe āvāz na aa.ī pahroñ
ik tirā naam thā ubhrā jo fasīl-e-lab par
varna sakte meñ rahī saarī ḳhudā.ī pahroñ
lamha-bhar ke liye barsī tirī yādoñ kī ghaTā
ham ne bhīgī huī chilman na uThā.ī pahroñ
vo to phir ġhair thā ġhairoñ se shikāyat kyā ho
nabz apnī bhī mire haath na aa.ī pahroñ
aañkh jhapkī to ravāñ thī vo havā ke ruḳh par
ham ne jo ret kī dīvār banā.ī pahroñ
par sameTe hue yuuñ chupke se lamha guzrā
shab kī dahlīz pe dī ham ne duhā.ī pahroñ
lauT kar aa.e na bhaTke hue raahī dil meñ
aag is dasht meñ ham ne to jalā.ī pahroñ
phir bhī le de ke vahī rog purānā niklā
ham ne moḌī hai ḳhayāloñ kī kalā.ī pahroñ
vo hayūle the ki saa.e the sar-e-raqs 'rashīd'
jism kī ek bhī jhankār na aa.ī pahroñ