kuchh saa.e se har lahza kisī samt ravāñ haiñ
is shahr meñ varna na makīñ haiñ na makāñ haiñ
ham ḳhud se judā ho ke tujhe DhūñDne nikle
bikhre haiñ ab aise ki yahāñ haiñ na vahāñ haiñ
jaatī haiñ tire ghar ko sabhī shahr kī saḌkeñ
lagtā hai ki sab log tirī samt ravāñ haiñ
ai mauj-e-āvāra kabhī ham se bhī Takrā
ik umr se ham bhī sar-e-sāhil nigarāñ haiñ
to DhūñDh hameñ vaqt kī dīvār ke us paar
ham duur bahut duur kī manzil kā nishāñ haiñ
simTe the kabhī ham to samā.e sar-e-mizhgāñ
phaile haiñ ab aise ki karāñ-tā-ba-karāñ haiñ
ik din tire āñchal kī havā ban ke uḌe the
us din se zamāne kī nigāhoñ se nihāñ haiñ
toḌo na hamāre liye āvāz kā āhañg
ham log to ik Dūbte lamhe kī fuġhāñ haiñ