dam-bhar kī ḳhushī bā.is-e-āzār bhī hogī
is raah meñ saaya hai to dīvār bhī hogī
sadiyoñ se jahāñ jis ke ta.āqub meñ ravāñ hai
vo sā.at-e-sad-rañg giraftār bhī hogī
rañgoñ kī ridā oḌh ke us reg-e-ravāñ par
utrī hai jo shab vo shab-e-dīdār bhī hogī
iThlā.egā palkoñ pe kabhī sub.h kā taarā
bedār kabhī nargis-e-bīmār bhī hogī
kahtā hai mire kaan meñ ḳhushbū kā payāmī
muñh-band kalī mā.il-e-guftār bhī hogī
saa.e se lipaT jā.eñge paañv se ba-har-gām
rusvā.ī kuchh apnī sar-e-bāzār bhī hogī
ai shab na kaTegī tire siine kī siyāhī
ik shoḳh kiran muft gunahgār bhī hogī
sunte haiñ ki har sub.h ke hāthoñ meñ 'rashīd' ab
zahrāb meñ Duubī huī talvār meñ hogī