Khwaja Mahmood-ul-Hasan

hum har qadam par soch ka ruKH moDte rahe

Khwaja Mahmood-ul-Hasan

Bihar, India

1918
ham har qadam par soch kā ruḳh moḌte rahe
kitne sanam banāte rahe toḌte rahe
halchal jo dil meñ thī vo na lafzoñ meñ Dhal sakī
rishte zabān o dil ke bahut joḌte rahe
ubhrā kiye shokūk na.e dil meñ har ghaḌī
har dam nayā shagūfa koī chhoḌte rahe
ḳhud meñ the aise dahr se nā-āshnā rahe
raushan haqīqatoñ se bhī muñh moḌte rahe
partav thā ik jamāl kā aayā guzar gayā
saaya thā jis ke pīchhe sadā dauḌte rahe
ab tak junūn-e-ishq kī haiñ sar-bulandiyāñ
nāhaq ḳhirad ke naam pe sar phoḌte rahe
Top Urdushayar.com