ham ḳhudā.ī kā da.avā to karte nahīñ
bandagī par bhī puure utarte nahīñ
yuuñ to qaa.em haiñ īmāñ pe apne magar
dil ke vahm-o-gumāñ se mukarte nahīñ
juzv-e-haq haiñ nahīñ ham kisī ke mutī.a
ḳhud pe nāzāñ haiñ bātil se Darte nahīñ
apnī ḳhud-e'timādī kā aalam hai ye
TuuT jaane pe bhī ham bikharte nahīñ
dil meñ jab tak na ho ik kasak dard kī
ādamiyyat ke jauhar nikharte nahīñ
hai na duniyā hī apnī na apnā ḳhudā
be-kasī ke ye din ab guzarte nahīñ