chhoḌ kar apnī zamīñ apnā samundar sā.īñ
maiñ bahut duur se aayā huuñ tire ghar sā.īñ
koī berī bhī nahīñ kāñch kā bartan bhī nahīñ
phir mire sahn meñ kyuuñ aate haiñ patthar sā.īñ
barf kī god meñ palte hue ḳhāmosh chīnār
ġhair mausam meñ sulag uThte haiñ aksar sā.īñ
phuul ban jaate haiñ hāthoñ meñ mire bachchoñ ke
merī TuuTī huī dīvār ke patthar sā.īñ
ho ga.iiñ shahr kī saḌkeñ to kushāda bhī magar
ab kahāñ jaa.eñ ye fōtpath ke bistar sā.īñ
maiñ to poras kī tarah jañg laḌā aur haarā
tū binā jañg hī ban baiThā sikandar sā.īñ
le ke aayā hai azal hī se 'nazar-siddīqī'
TuuTe kaae kī tarah apnā muqaddar sā.īñ