chhupā hai karb-e-musalsal havā ke lahje meñ
koī to phuul khilā.e duā ke lahje meñ
maiñ us kī qadr karūñgā jo mere aiboñ ko
mire hī muñh pe kahe āshnā ke lahje meñ
zamāna aaj bhī qāsir hai ye samajhne se
safar kī baat huī kyuuñ havā ke lahje meñ
hamāre dard kā andāza us ko kyā hogā
ki ashk hote nahīñ haiñ vafā ke lahje meñ
hai e'tirāf ki akasr ulajh paḌe jis se
vo mehrbān huā hai duā ke lahje meñ
mirī nazar meñ rahā hai jo mohtaram 'anjum'
vahī hai mujh se muḳhātab sazā ke lahje meñ