niiñd meñ kahī ġhazal
ḳhvāb ho ga.ī ġhazal
iltijā dil-e-sukūt
hukm-e-āgahī ġhazal
ik taraf tirā ġhazāl
ik taraf mirī ġhazal
zard saa.e ird-gird
sabz raushnī ġhazal
ai mire purāne dost
kyā kahā na.ī ġhazal
hoñT kāTtā ġhazāl
baal nochtī ġhazal
fursat-e-hayāt kī
kārkardagī ġhazal
terā husn mustaqil
x vaa.e zī ġhazal
ai junūñ ke rab batā
kitne dasht-fī-ġhazal