rusvā kiyā hai us ne jahāñ-bhar ke sāmne
parde meñ chhup gayā hai mujhe kar ke sāmne
sajda hai inhidām hai kyā hai mujhe batā
qasr-e-badan girā hai kisī dar ke sāmne
uryānī baḌh rahī hai mire ghar ke bīchoñ-bīch
dīvāreñ uTh rahī haiñ mire ghar ke sāmne
ye vaqfa-e-namāz bhī kitnā tavīl hai
kab se khaḌā huuñ yaar ke daftar ke sāmne
kaise charāġh se karūñ shikva ki jab mirī
chashm-e-nazāra bujh ga.ī manzar ke sāmne
pūchhe koī jo raaz ke dil kā to ye kaho
ik ghar hai aur ghar bhī samundar ke sāmne