phuul chīḳh uThte haiñ pattoñ pe namī boltī hai
bel ke pinjre se jab shāḳh harī boltī hai
merī vus.at mire iz.hār ke aaḌe aa.ī
mujh samundar se ziyāda to nadī boltī hai
maiñ to chiḌiyā ko hī bulbul kī jagah likkhūñgā
ki mire ghar meñ to din-rāt yahī boltī hai
din mirā job kī bak-bak meñ guzar jaatā hai
aur shab-bhar ye kalā.ī kī ghaḌī boltī hai
ai khile phuul ke shaidā.ī tujhe ilm nahīñ
kitne zū-ma.anī tarīqe se kalī boltī hai
aañkh vaalo yuuñ mirī ḳhaak tamāshā na karo
sunñe vaalo ye mirī tez-ravī boltī hai
tū samajhdār agar hai to yahī kaafī hai
tujhe kahtī hai ki kyā hai mujhe jī boltī hai