Javed Naseemi

bahut mazbut logon ko bhi ghurbat toD deti hai

Javed Naseemi

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1957
bahut mazbūt logoñ ko bhī ġhurbat toḌ detī hai
anā ke sab hisāroñ ko zarūrat toḌ detī hai
jhukāyā jā nahīñ saktā jinheñ jabr-o-adāvat se
unheñ bhī ik ishāre meñ mohabbat toḌ detī hai
kisī ke sāmne jab haath phailātī hai majbūrī
to us majbūr ko andar se ġhairat toḌ detī hai
taras khāte haiñ jab apne sisak uThtī hai ḳhuddārī
har ik ḳhuddār insāñ ko ināyat toḌ detī hai
samundar paar jā kar jo bahut ḳhush-hāl dikhte haiñ
ye un ke dil se pūchho kaise hijrat toḌ detī hai
nibhānā dil ke rishtoñ ko nahīñ hai khel bachchoñ kā
ki in shīshoñ ko ik halkī sī ġhaflat toḌ detī hai
Top Urdushayar.com