Javed Naseemi

baad muddat ke teri yaad ke baadal barse

Javed Naseemi

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1957
ba.ad muddat ke tirī yaad ke bādal barse
vo bhī aise ki ka.ī roz musalsal barse
muntazir aur bhī sahrā haiñ isī bādal ke
sirf tujh par hī bhalā kaise ye har pal barse
pyaas is shahr kī bujhne kā yahī rasta hai
ban ke bādal kisī darvesh kī chhāgal barse
lag ga.ī kis kī nazar shahr-e-nigārāñ ko mire
ab to har shaam yahāñ vahshat-e-maqtal barse
kab kī pyāsī hai zamīñ ye bhī nazar meñ rakkhe
kah do bādal se zarā der musalsal barse
lab-kushā ho ki mahak uTThe fazā kā ye sukūt
muntazir kab se samā.at hai ki sandal barse
Top Urdushayar.com