Javed Naseemi

main jab bhi talib-e-namus hone lagta hun

Javed Naseemi

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1957
maiñ jab bhī tālib-e-nāmūs hone lagtā huuñ
na.e libāsoñ meñ malbūs hone lagtā huuñ
dikhāne lagtā hai vo ḳhvāb āsmānoñ ke
zamīñ se jab bhī maiñ mānūs hone lagtā huuñ
jalāyā jis ne mirā ghar usī diye ke liye
havā chale to maiñ fānūs hone lagtā huuñ
uchhāl detā hai patthar vo Thahre paanī meñ
maiñ pur-sukūn jo mahsūs hone lagtā huuñ
ye kis kī pyaas kī ḳhātir kabhī kabhī 'jāved'
maiñ ek qatre se qāmūs hone lagtā huuñ
Top Urdushayar.com