tujhe maiñ bhuul jaanā chāhtā huuñ
yuuñ dil ko āzmānā chāhtā huuñ
na chheḌo aaj dard-o-ġham ke qisse
maiñ khul kar muskurānā chāhtā huuñ
mirī tahvīl meñ jo bhī hai yaaro
tumhīñ pe sab luTānā chāhtā huuñ
bahut bojhal se lagte haiñ manāzir
maiñ un se duur jaanā chāhtā huuñ
ḳhayāl-o-fikr kā dam ghuT rahā hai
na.ī duniyā banānā chāhtā huuñ
kisī kī yaad kī ḳhushbū ko 'anjum'
maiñ rag rag meñ basānā chāhtā huuñ