maiñ bhī aage baḌhūñ aur bhiiḌ kā hissa ho jā.ūñ
is se achchhā to yahī hai ki maiñ tanhā ho jā.ūñ
pyaas ko merī jo ik jaam na de paayā kabhī
tishnagī us kī ye kahtī hai maiñ dariyā ho jā.ūñ
mujh ko jakḌe hue rishtoñ kī haqīqat mat pūchh
bas chale merā agar to maiñ akelā ho jā.ūñ
le ke jā.ūñ kahāñ ehsās-e-vafādārī ko
dil to kahtā hai ki maiñ bhī tire jaisā ho jā.ūñ
ho kisī taur to duniyā kī tavajjoh mujh par
ek do pal ke liye maiñ bhī tamāshā ho jā.ūñ
dil kī majbūrī ajab chiiz hai varna 'jāved'
kaun chāhegā bhalā ḳhud ki maiñ rusvā ho jā.ūñ