Javed Naseemi

koi inam-e-wafa hai ki sila hai kya hai

Javed Naseemi

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1957
koī in.ām-e-vafā hai ki silā hai kyā hai
us ne ye dard-e-mohabbat jo diyā hai kyā hai
bhūlne ko tujhe dil kyuuñ nahīñ raazī hotā
terī yādoñ meñ kasak hai ki maza hai kyā hai
kis ne darvāze pe ye raat ga.e dastak dī
yaad us kī hai ki vo ḳhud ki havā hai kyā hai
tū jo mil jaatā hai har baar bichhaḌ kar mujh ko
ye muqaddar hai karam hai ki duā hai kyā hai
aaj kyā phir kisī armān ne dam toḌ diyā
shor kyuuñ dil se ye 'jāved' uThā hai kyā hai
Top Urdushayar.com