Javed Naseemi

waqt ke hathon ne jab tak ki na KHamosh kiya

Javed Naseemi

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1957
vaqt ke hāthoñ ne jab tak ki na ḳhāmosh kiyā
maiñ ne tujh ko na kisī lamha farāmosh kiyā
is kī chāhat ne sañvarne kā salīqa baḳhshā
shahr ke shahr ko us shaḳhs ne ḳhush-posh kiyā
hijr ke sadme bahut baḳhshe ye sach hai lekin
lazzat-e-vasl se bhī us ne ham-āġhosh kiyā
vaqt kī dhuul ne kajlā diye sūraj kitne
kaise kaisoñ ko zamāne ne farāmosh kiyā
terī qurbat ne sikhā.ī thī mujhe mai-noshī
aur furqat ne tirī mujh ko balā-nosh kiyā
kyā milā tark-e-ta.alluq se bhī mujh ko 'jāved'
yaad ne chhoḌā na ġham hī ne subuk-dosh kiyā
Top Urdushayar.com