palkoñ pe le ke bojh kahāñ tak phirā karūñ
ai ḳhvāb-e-rā.egāñ maiñ batā terā kyā karūñ
vo hai ba-zid usī pe ki maiñ iltijā karūñ
kuchh to batā ai merī anā ab maiñ kyā karūñ
paane kī jidd-o-johd meñ umreñ guzar ga.iiñ
ik baar tujh ko khone kā bhī hausla karūñ
har aane vaalā bazm meñ terī hai mohtaram
tāzīm ko maiñ sab kī kahāñ tak uThā karūñ
har ik varaq hai tujh se shurūa is kitāb kā
tū hī batā kahāñ se maiñ ab ibtidā karūñ
hai zer-e-ġhaur apnī hī chāhat kā ehtisāb
terī vafā pe kyā maiñ abhī tabsira karūñ