be-niyāz-e-bahār sā kyuuñ hai
dil ko zaḳhmoñ se pyaar sā kyuuñ hai
vo ḳhafā haiñ ki ham ġharīboñ ko
ġham pe kuchh iḳhtiyār sā kyuuñ hai
merī āñkhoñ ke ḳhvāb to ġham haiñ
vo magar be-qarār sā kyuuñ hai
aks us meñ thā kis ke chehre kā
aa.ina sañgsār sā kyuuñ hai
āhaTeñ paas aa ke duur huiiñ
ham ko phir intizār sā kyuuñ hai
kyā koī sandalī mahak sī uḌī
dil mirā pur-ḳhumār sā kyuuñ hai
zindagī talḳh hai bahut 'anjum'
phir bhī zālim se pyaar sā kyuuñ hai