Baqi Siddiqui

wo maqam-e-dil-o-jaan kya hoga

Baqi Siddiqui

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1905-1972
vo maqām-e-dil-o-jāñ kyā hogā
tū jahāñ āḳhirī pardā hogā
manzileñ rāsta ban jaatī haiñ
DhūñDne vāloñ ne dekhā hogā
saa.e meñ baiThe hue sochte haiñ
kaun is dhuup meñ chaltā hogā
terī har baat pe chup rahte haiñ
ham sā patthar bhī koī kyā hogā
abhī dil par haiñ jahāñ kī nazreñ
aa.ina aur bhī dhundlā hogā
rāz-e-sar-basta hai mahfil terī
jo samajh legā vo tanhā hogā
is tarah qat-e-ta.alluq na karo
is tarah aur bhī charchā hogā
ba.ad muddat ke chale dīvāne
kyā tire shahr kā naqsha hogā
sab kā muñh takte haiñ yuuñ ham jaise
koī to baat samajhtā hogā
phuul ye soch ke khil uThte haiñ
koī to dīda-e-bīnā hogā
ḳhud se ham duur nikal aa.e haiñ
tere milne se bhī ab kyā hogā
ham tirā rāsta takte hoñge
aur tū sāmne baiThā hogā
ḳhud ko yaad aane lage ham 'bāqī'
phir kisī baat pe jhagḌā hogā
Top Urdushayar.com