Baqi Siddiqui

teri nigah ka andaz kya nazar aaya

Baqi Siddiqui

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1905-1972
tirī nigāh kā andāz kyā nazar aayā
daraḳht se hameñ saaya judā nazar aayā
bahut qarīb se āvāz ek aa.ī thī
magar chale to baḌā fāsla nazar aayā
ye rāste kī lakīreñ bhī gum na ho jaa.eñ
vo jhāḌiyoñ kā nayā silsila nazar aayā
ye raushnī kī kiran hai ki aag kā sho.ala
har ek ghar mujhe jaltā huā nazar aayā
kalī kalī kī sadā gūñjne lagī dil meñ
jahāñ bhī koī chaman-āshnā nazar aayā
suno to kis liye patthar uThā.e phirte ho
kaho to ā.īna-ḳhāne meñ kyā nazar aayā
ye dopahar ye pighaltī huī saḌak 'bāqī'
har ek shaḳhs phisaltā huā nazar aayā
Top Urdushayar.com