taare dard ke jhoñke ban kar aate haiñ
ham bhī niiñd kī sūrat uḌte jaate haiñ
jab andāz bahāroñ ke yaad aate haiñ
ham kāġhaz par kyā kyā phuul banāte haiñ
vaqt kā patthar bhārī hotā jaatā hai
ham miTTī kī sūrat dete jaate haiñ
kyā zarroñ kā josh sabā ne chhīn liyā
gulshan meñ kyuuñ yaad bagūle aate haiñ
duniyā ne har baat meñ kyā kyā rañg bhare
ham saada aurāq ulaTte jaate haiñ
dil nādāñ hai shāyad raah pe aa jaa.e
tum bhī samjhāo ham bhī samjhāte haiñ
tum bhī ulTī ulTī bāteñ pūchhte ho
ham bhī kaisī kaisī qasmeñ khāte haiñ
baiTh ke ro.eñ kis ko fursat hai 'bāqī'
bhūle-bisre qisse yaad to aate haiñ