Baqi Siddiqui

is kar-e-gah-e-rang mein hum tang nahin kya

Baqi Siddiqui

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1905-1972
is kār-e-gah-e-rang meñ ham tañg nahīñ kyā
jo sar pe lagā hai abhī vo sañg nahīñ kyā
tasvīr ko tasvīr dikhā.ī nahīñ jaatī
is ā.ina-ḳhāne meñ nazar dañg nahīñ kyā
hai halqa-e-jāñ apnī vafāoñ kā tasavvur
is daaġh se aage koī farsañg nahīñ kyā
har baat pe ham dete haiñ ġhairoñ kā havāla
apnā koī āhañg koī rañg nahīñ kyā
baḳhshe hue ik ghūñT pe ham jhuum rahe haiñ
ab maañg ke piinā bhī koī nañg nahīñ kyā
zaḳhm-e-dil-e-betāb hai hāthoñ meñ nivāla
is baat pe duniyā se mirī jañg nahīñ kyā
vo rañg nahīñ sho.ala-e-ehsās meñ 'bāqī'
ham sāz-e-tamannā se ham-āhañg nahīñ kyā
Top Urdushayar.com