kyā patā ham ko milā hai apnā
aur kuchh nashsha chaḌhā hai apnā
kaan paḌtī nahīñ āvāz koī
dil meñ vo shor bapā hai apnā
ab to har baat pe hotā hai gumāñ
vāqi.a koī sunā hai apnā
har bagūle ko hai nisbat ham se
dasht tak saaya gayā hai apnā
ḳhud hī darvāze pe dastak dī hai
ḳhud hī dar khol diyā hai apnā
dil kī ik shāḳh-e-burīda ke sivā
chaman-e-dahr meñ kyā hai apnā
koī āvāz koī hañgāma
qāfila rukne lagā hai apnā
apnī āvāz pe chauñk uThtā hai
dil meñ jo chor chhupā hai apnā
kaun thā madd-e-muqābil 'bāqī'
ḳhud pe hī vaar paḌā hai apnā