ḳhabar kuchh aisī uḌaa.ī kisī ne gaañv meñ
udaas phirte haiñ ham bairiyoñ kī chhāñv meñ
nazar nazar se nikaltī hai dard kī Tīseñ
qadam qadam pe vo kāñTe chubhe haiñ paañv meñ
har ek samt se uḌ uḌ ke ret aatī hai
abhī hai zor vahī dasht kī havāoñ meñ
ġhamoñ kī bhiiḌ meñ ummīd kā vo aalam hai
ki jaise ek saḳhī ho ka.ī gadāoñ meñ
abhī hai gosh bar-āvāz ghar kā sannāTā
abhī koshish hai baḌī duur kī sadāoñ meñ
chale to haiñ kisī aahaT kā aasrā le kar
bhaTak na jaa.eñ kahīñ ajnabī fazāoñ meñ
dhuāñ dhuāñ sī hai khetoñ kī chāñdnī 'bāqī'
ki aag shahr kī ab aa ga.ī hai gaañv meñ