ham ne jab chāhā koī aag bujhāne aa.e
aa.e to log magar dil ko jalāne aa.e
kuchh asar hotā nahīñ bazm-e-tarab kā dil par
dard kā giit koī aaj sunāne aa.e
raas jab aa na sakā shahr-e-ḳhirad kā māhaul
vus.at-e-dasht-o-bayābāñ meñ divāne aa.e
bhāgī jaatī hai ye duniyā na.ī raunaq kī taraf
shahr hai ujḌā huā kaun basāne aa.e
aaj tak jin ko nahīñ rāh-e-sadāqat kī ḳhabar
haqq-o-bātil kā vahī farq batāne aa.e
kyuuñ kisī ġhair pe ilzām maiñ rakhtā 'anjum'
mere apne vo sabhī the jo rulāne aa.e