vaqt raste meñ khaḌā hai ki nahīñ
dil se ab pūchh ḳhudā hai ki nahīñ
sohbat-e-shīsha-garāñ hai inkār
sañg ā.īna banā hai ki nahīñ
har kiran vaqt-e-sahar kahtī hai
rauzan-e-dil koī vā hai ki nahīñ
rañg har baat meñ bharne vaalo
qissa kuchh aage baḌhā hai ki nahīñ
zindagī jurm banī jaatī hai
jurm kī koī sazā hai ki nahīñ
dost har aib chhupā lete haiñ
koī dushman bhī tirā hai ki nahīñ
zaḳhm-e-dil manzil-e-jāñ tak aa.e
sañg-e-rah saath chalā hai ki nahīñ
kho ga.e raah ke sannāTe meñ
ab koī dil kī sadā hai ki nahīñ
ham tarasne lage bū-e-gul ko
kahīñ gulshan meñ sabā hai ki nahīñ
hukm-e-hākim hai ki ḳhāmosh raho
bolo ab koī gila hai ki nahīñ
chup to ho jaate haiñ lekin 'bāqī'
is meñ bhī apnā bhalā hai ki nahīñ