kahtā hai har makīñ se makāñ bolte raho
is chup meñ bhī hai jī kā ziyāñ bolte raho
har yaad har ḳhayāl hai lafzoñ kā silsila
ye mahfil-e-navā hai yahāñ bolte raho
mauj-e-sadā-e-dil pe ravāñ hai hisār-e-zīst
jis vaqt tak hai muñh meñ zabāñ bolte raho
apnā lahū hī rañg hai apnī tapish hī bū
ho fasl-e-gul ki daur-e-ḳhizāñ bolte raho
qadmoñ pe baar hote haiñ sunsān rāste
lambā safar hai ham-safarāñ bolte raho
hai zindagī bhī TuuTā huā aa.ina to kyā
tum bhī ba-tarz-e-shīsha-garāñ bolte raho
'bāqī' jo chup rahoge to uTTheñgī uñgliyāñ
hai bolnā bhī rasm-e-jahāñ bolte raho