Baqi Siddiqui

tum kab the qarib itne main kab dur raha hun

Baqi Siddiqui

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1905-1972
tum kab the qarīb itne maiñ kab duur rahā huuñ
chhoḌo na karo baat ki maiñ tum se ḳhafā huuñ
rahne do ki ab tum bhī mujhe paḌh na sakoge
barsāt meñ kāġhaz kī tarah bhiig gayā huuñ
sau baar girah de ke kisī aas ne joḌā
sau baar maiñ dhāge kī tarah TuuT chukā huuñ
jā.egā jahāñ tū mirī āvāz sunegā
maiñ chor kī mānind tire dil meñ chhupā huuñ
ik nuqte pe aa kar bhī ham-āhañg nahīñ haiñ
tū apnā fasāna hai to maiñ apnī sadā huuñ
chheḌo na abhī shāḳh-e-shikasta kā fasāna
Thahro maiñ abhī raqs-e-sabā dekh rahā huuñ
manzil kā patā jis ne diyā thā mujhe 'bāqī'
us shaḳhs se raste meñ ka.ī baar milā huuñ
Top Urdushayar.com