lafzoñ ke ye nagīne to nikle kamāl ke
ġhazloñ ne ḳhud pahan liye zevar ḳhayāl ke
aisā na ho gunāh kī daldal meñ jā phañsūñ
ai merī aarzū mujhe le chal sambhāl ke
pichhle janm kī gāḌhī kamā.ī hai zindagī
saudā jo karnā karnā bahut dekh-bhāl ke
mausam haiñ do hī ishq ke sūrat koī bhī ho
haiñ us ke paas aa.ine hijr-o-visāl ke
ab kyā hai arth-hīn sī pustak hai zindagī
jīvan se le gayā vo ka.ī din nikāl ke
yuuñ zindagī se kaTtā rahā juḌtā bhī rahā
bachcha khelā.e jaise koī maañ uchhāl ke
ye taaj ye ajantā elora ke shāhkār
afsāne se likhe haiñ urūj-o-zavāl ke