Ghayas Anjum

KHasare mein rahe lekin na chhoDi sadgi humne

Ghayas Anjum

Aurangabad, Bihar, India

1950
ḳhasāre meñ rahe lekin na chhoḌī sādgī ham ne
ba-har-sūrat nibhā.ī dushmanoñ se dostī ham ne
salaf the jo hamāre misl-e-ḳhurshīd-o-mah-o-anjum
unhī ke rāste pe chal ke paa.ī raushnī ham ne
adab ke dā.ere ko de dī vus.at saare aalam kī
ki us kī ābiyārī kī barā.e zindagī ham ne
jahāñ vaalo na maano tum magar sach hai ki duniyā meñ
baḌhāyā hai tah-e-ḳhanjar vaqār-e-āshiqī ham ne
yahāñ sach bolne par zahr kā pyāla hī miltā hai
ajab rasm-e-sitam dekhī hai tere shahr kī ham ne
vasā.el jab ki saare ho chuke the be-asar 'anjum'
charāġh-e-dil jalā kar duur kī hai tīrgī ham ne
Top Urdushayar.com