junūñ kī raakh se manzil meñ rañg kyā aa.e
matā-e-dard to ham raah meñ luTā aa.e
vo gard uḌaa.ī kisī ne ki saañs ghuTne lagī
haTe ye raah se dīvār to havā aa.e
kisī maqām-e-tamannā se jab bhī palTe haiñ
hamāre sāmne apne hī naqsh-e-pā aa.e
numū ke bojh se shāḳheñ na TuuT jaa.eñ kahīñ
tum aao to koī ġhuncha khile sabā aa.e
ye dil kī pyaas ye duniyā ke fāsle 'bāqī'
bahut qarīb se ab to koī sadā aa.e