Baqi Siddiqui

subh ka bhed mila kya hum ko

Baqi Siddiqui

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1905-1972
sub.h kā bhed milā kyā ham ko
lag gayā raat kā dhaḌkā ham ko
shauq-e-nazzārā kā parda uThThā
nazar aane lagī duniyā ham ko
kashtiyāñ TuuT ga.ī haiñ saarī
ab liye phirtā hai dariyā ham ko
bhiiḌ meñ kho ga.e āḳhir ham bhī
na milā jab koī rasta ham ko
talḳhi-e-ġham kā mudāvā ma.alūm
paḌ gayā zahr kā chaskā ham ko
tere ġham se to sukūn miltā hai
apne sho.aloñ ne jalāyā ham ko
ghar ko yuuñ dekh rahe haiñ jaise
aaj hī ghar nazar aayā ham ko
ham ki sho.ala bhī haiñ aur shabnam bhī
tū ne kis rañg meñ dekhā ham ko
jalva-e-lālā-o-gul hai dīvār
kabhī milte sar-e-sahrā ham ko
le uḌī dil ko nasīm-e-saharī
bū-e-gul kar ga.ī tanhā ham ko
sair-e-gulshan ne kiyā āvāra
lag gayā rog sabā kā ham ko
yaad aa.ī haiñ barahana shāḳheñ
thaam le ai gul-e-tāza ham ko
le gayā saath uḌā kar 'bāqī'
ek sūkhā huā pattā ham ko
Top Urdushayar.com