Baqi Siddiqui

un ka ya apna tamasha dekho

Baqi Siddiqui

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1905-1972
un kā yā apnā tamāshā dekho
jo dikhātā hai zamāna dekho
vaqt ke paas haiñ kuchh tasvīreñ
koī Duubā hai ki ubhrā dekho
rañg sāhil kā nikhar aa.egā
do ghaḌī jānib-e-dariyā dekho
tilmilā uTThā ghanā sannāTā
phir koī niiñd se chauñkā dekho
ham-safar ġhair hue jaate haiñ
fāsla rah gayā kitnā dekho
barf ho jaatā hai sadiyoñ kā lahū
ek Thahrā huā lamha dekho
rañg uḌte haiñ tabassum kī tarah
ā.ina-ḳhānoñ kā daavā dekho
dil kī bigḌī huī sūrat hai yahāñ
ab koī aur ḳharāba dekho
yā kisī parde meñ gum ho jaao
yā uThā kar koī pardā dekho
dostī ḳhūn-e-jigar chāhtī hai
kaam mushkil hai to rasta dekho
saada kāġhaz kī tarah dil chup hai
hāsil-e-rañg-e-tamannā dekho
yahī taskīn kī sūrat hai to phir
chaar din ġham ko bhī apnā dekho
ġham-gusāroñ kā sahārā kab tak
ḳhud pe bhī kar ke bharosā dekho
apnī nīyat pe na jaao 'bāqī'
ruḳh zamāne kī havā kā dekho
Top Urdushayar.com