marhale ziist ke āsān hue
shahr kuchh aur bhī vīrān hue
aas lagāo pe har ik shaḳhs se laag
thī na.ī baat ki hairān hue
vo nazar uThne lagī dil kī taraf
hādse ab mire armān hue
aap ko ham se shikāyat kaisī
ham to ġhāfil hue nādān hue
dil-e-vārafta kī bāteñ 'bāqī'
yaad kar kar ke pashemān hue