Ghayas Anjum

saz-e-hayat qaid-o-salasil kahen kise

Ghayas Anjum

Aurangabad, Bihar, India

1950
sāz-e-hayāt qaid-o-salāsil kaheñ kise
jab dil hī bujh gayā ho to phir dil kaheñ kise
rūdād-e-ġham tavīl to itnī nahīñ magar
koī kahāñ hai madd-e-muqābil kaheñ kise
bachte bachāte mauj-e-havādis se aa ke ham
sāhil pe Duub jaa.eñ to sāhil kaheñ kise
dast-e-duā bhī kaaT ke ahbāb chal diye
hāl-e-dil-e-shikasta meñ shāmil kaheñ kise
'anjum' hamārā ahd hai bahrūpiyoñ kā ahd
jo hai naqāb-posh hai qātil kaheñ kise
Top Urdushayar.com