har taraf bikhre haiñ rañgīñ saa.e
rāh-rau koī na Thokar khaa.e
zindagī harf-e-ġhalat hī niklī
ham ne ma.anī to bahut pahnā.e
dāman-e-ḳhvāb kahāñ tak phaile
reg kī mauj kahāñ tak jaa.e
tujh ko dekhā tire va.ade dekhe
ūñchī dīvār ke lambe saa.e
band kaliyoñ kī adā kahtī hai
baat karne ke haiñ sau pairā.e
bām-o-dar kaañp uThe haiñ 'bāqī'
is tarah jhuum ke bādal aa.e