Ghayas Anjum

KHun-e-dil mujhse tera rang-e-hina mange hai

Ghayas Anjum

Aurangabad, Bihar, India

1950
ḳhūn-e-dil mujh se tirā rañg-e-hinā māñge hai
yā hathelī pe koī naqsh-e-vafā māñge hai
jo sadā detā rahā dār-o-rasan tohfe meñ
ham faqīroñ se vahī harf-e-duā māñge hai
kyā huā hai ki rifāqat kā bharam rakhne ko
mujh se mahbūb mirā zaḳhm nayā māñge hai
shahar meñ dhañstā hai fitne kī na.ī daldal meñ
kyā qayāmat hai ki merā hī pata māñge hai
kuchh samajh meñ nahīñ aatā hai mizāj-e-yārāñ
jis ko dekho vahī iz.hār-e-vafā māñge hai
vo to vahshat meñ kabhī samjhe hai mujh ko qātil
aur kabhī kūcha-e-qātil kā patā māñge hai
aql par parda paḌā hai ki suḳhnavar 'anjum'
din ke māhaul meñ bhī kaalī ridā māñge hai
Top Urdushayar.com